Ferz karo ye donoan batain jhooti hoan, afsane hoan
Ferz karo ye jee ki biptaa, jee se jordh sunai ho
Ferz karo abhi aur ho baqi, aadhi hum ne chupai ho
Ferz karo tumhain khush karne ke dhoonde hum ne bahane hoan
Ferz karo yeh nain tumharey sach much ke mai-khaney hoan
Ferz karo yeh roag ho jhuta, jhuti peet hamari ho
Ferz karo is peet ke roag main sans bhi hum pe bhari ho
Ferz karo ye joag bajog ka hum ne dhong rachaya ho
Ferz karo bas yehi haqeqat, baqi sab kuch maya ho
dekh meree jaan keh gaye Baahoo: "kaun diloan ki janey 'hoo' ?
bastee bastee sehra sehra, lakhoan karein diwaney 'hoo'
jogee bhi jo nager nager mein marey marey phirtey hain
kaasa liye bhabhot' ramaye sab k duarey phirtey hain
shair bhee jo meethee bani boal k mann ko hertey hain
banjarey jo oonchey damoan gee k saudey kertey hain
in mein sachey motee bhi hain, in mein kanker pather bhi
in mein uthley paani bhi hain, in mein gehrey saager bhi
goree dekh k aagey berhna, sabb ka jhoota sacha, 'hoo'
doobney walee doob gayee, woh ghara tha jis ka kacha, 'hoo' "
P.S: jo wasf ibne insha k qalaam mein hai, mein ney kahin aur nahin paya. aisa kharaa andaaz-e-bayan, k shairee ka gumaan nahin hota, aisee seedhi baat k jis peh sab batein khatm hojain, sach ki aisee tasalle sirf ibn-e-insha k alfaaz mein miltee hai.
insha ki batein aaj phir bohat yaad aain.